guñg haiñ saarī zamīneñ āsmāñ hairat-zada
raftagāñ shashdar sabhī ā.indagāñ hairat-zada
chuus letī hai zamīñ paanī jahāñ hoñ nafrateñ
ḳhushk hotī nahr pe mat hoñ kisāñ hairat-zada
kaun ghar kā hai ye dhovan kis kī hai yaḳh-bastagī
barf hotī is nadī kā sab dhuāñ hairat-zada
is tahayyur-ḳhez shahr-e-nūr kī har shai ajab
har yaqīñ hairat-zada har-ik gumāñ hairat-zada
dāḳhle par taḳhtiyāñ haiñ jin pe kunda naam haiñ
kaun kaise kis tarah aur hai kahāñ hairat-zada
sañg-e-marmar se banā jañgal jahān-e-ārzū
daftarī lahja liye maiñ ik javāñ hairat-zada
kis tarah kā dars mujh ko de rahā hai āftāb
sahn-e-maktab meñ kahīñ hai kahkashāñ hairat-zada
zikr thā malfūf kun kā āsmāñ kī baat thī
sun rahā thā shahr saarā dāstāñ hairat-zada