rañg ke gahre the lekin duur se achchhe lage
adh-khilī un khiḌkiyoñ par jāmunī parde lage
ḳhushk hotī bel se dīvār chhūTī daf.atan
zard pattoñ ko bachāte phuul ḳhud girne lage
pakke rishtoñ meñ darāḌoñ kī kahānī khul ga.ī
Dūbne vaale ko saare hī ghaḌe kachche lage
ik taḳhayyul jism oḌhe aan baiThā sāmne
lafz bhī ab soch ko tasvīr sā karne lage
bail ne bas siiñg badle aur duniyā hil ga.ī
chand lamhe shahr kā juġhrāfiya likhne lage
be-zarūrat ghoñsle par ek chiḌiyā muztarib
do parinde aaj pahlī baar haiñ uḌne lage