ḳhud-satā.ī se na ham baaz anā se aa.e
go tire shahr meñ jā kar ke bhī pyāse aa.e
is javānī meñ bhī ilzām se Darnā hairat
kaun chehre pe nahīñ kiil muhāse aa.e
us ne ik ḳhaas tanāsub se mohabbat bāñTī
mere hisse meñ hamesha hī dilāse aa.e
baat ausāf kī hai nam kī nahīñ hai bhaa.ī
log be-ant samundar se bhī pyāse aa.e
DhūñDhtā hai koī mujh jaisā mujhe gird-o-navāh
ik sadā mere ta.āqub meñ sadā se aa.e
maiñ ba-sad-shauq giraftār-e-rah-e-ishq huā
varna kuchh log yahāñ apnī ḳhatā se aa.e
sirf taqlīd se hī qais nahīñ ban sakte
ya.anī is ishq kā karnā bhī atā se aa.e