Azad Husain Azad

suhani yaad ka dhoka na KHarch ho jae

Azad Husain Azad

1980
suhānī yaad kā dhokā na ḳharch ho jaa.e
mirā ye āḳhirī sikka na ḳharch ho jaa.e
mujhe hai shauq mirā kam-suḳhan kahe kuchh to
use hai fikr ki jumla na ḳharch ho jaa.e
gulāb suukh na jaa.e kitāb meñ rakkhā
pas-e-naqāb hī chehra na ḳharch ho jaa.e
tumhārī aañkh meñ is vāste nahīñ takte
hamārī pyaas pe dariyā na ḳharch ho jaa.e
na yuuñ bhī saiñt ke rakkho ki bhuul hī jaao
paḌā paḌā koī puurā na ḳharch ho jaa.e
mujhe ḳhabar hai vo dariyā-mizāj aadmī hai
mujh aise dasht kā puurā na ḳharch ho jaa.e
Top Urdushayar.com