Azad Husain Azad

saf auraq hain likhne ki jagah Khaali hai

Azad Husain Azad

1980
saaf aurāq haiñ likhne kī jagah ḳhālī hai
ya.anī us maañg meñ taare kī jagah ḳhālī hai
nahr ke paar gayā yaar nahīñ palTā kabhī
car meñ ab bhī kamīne kī jagah ḳhālī hai
koī ḳhush-rañg dilāsa hai to likhte jaao
merī dīvār pe na.are kī jagah ḳhālī hai
aaj bhī khaaT pe bosīda badan dekhtā huuñ
baap ke ba.ad bhī kone kī jagah ḳhālī hai
chaak par rakkhī huī duniyā mukammal kar do
āḳhirī jism pe chehre kī jagah ḳhālī hai
merī ġhazleñ haiñ sabhī ba.ad tire be-matl.a
saare naġhmāt meñ mukhḌe kī jagah ḳhālī hai
ma.azarat yaar nayā ishq nahīñ ho saktā
dil mayassar hai na siine kī jagah ḳhālī hai
Top Urdushayar.com