Azad Husain Azad

andhere dur kare nur se ujale mujhe

Azad Husain Azad

1980
añdhere duur kare nuur se ujāle mujhe
koī to ho jo tire ba.ad bhī sambhāle mujhe
maiñ mar rahā huuñ magar saañs de rahe haiñ baham
tumhārī zaat se mansūb kuchh havāle mujhe
ye rūd-e-ḳhvāb nahīñ maḳhmase kā dariyā hai
Dubo.e ishq kabhī josh meñ uchhāle mujhe
abhī maiñ rail kī paTrī se duur baiThā huuñ
abhī hai vaqt agar ho sake manā le mujhe
nahīñ hai yaad mujhe naam haañ magar āñkheñ
sharāb bhuul chukā yaad haiñ pyāle mujhe
maiñ sauñp duuñ use in.aam meñ bachī sāñseñ
mire vajūd ke malbe se jo nikāle mujhe
nishān mel kī rañgīniyoñ ke sadqe hue
bahut aziiz haiñ paañv ke saare chhāle mujhe
Top Urdushayar.com