jaise pardes meñ rātoñ ko vatan khīñchtā hai
yuuñ tire dasht-navardoñ ko chaman khīñchtā hai
kis kī aaheñ yuuñ sar-e-dasht-e-talab gūñjtī haiñ
kaun vīrān manāzir se thakan khīñchtā hai
harf aa aa ke bajāte haiñ mirā darvāza
sher ho ho ke mire dil kī ghuTan khīñchtā hai
bojh Dhonā hai bahar-taur ho jaise-taise
varna yuuñ kaun ba-sad-shauq badan khīñchtā hai
ek hijrat hai ki tasvīr huī jaatī hai
ek qissa hai sū-e-bāġh-e-adan khīñchtā hai
ziist ik ahd ke dhāge se bañdhī chaltī hai
qabr har roz bulātī hai kafan khīñchtā hai