Azad Husain Azad

hain kaise kaise marahil guhar se aage bhi

Azad Husain Azad

1980
haiñ kaise kaise marāhil guhar se aage bhī
ġhazal kuchh aur hai kār-e-hunar se aage bhī
ye sho.abde kā tajassus na ḳhatm hogā kabhī
jahān hogā jahān-e-digar se aage bhī
bhare julūs meñ golī se maarā jā.ūñgā
maiñ sochtā huuñ ḳhudā-e-bashar se aage bhī
ye ird-gard ke manzar mire shanāsā haiñ
guzar huā hai isī rahguzar se aage bhī
varā-e-chashm manāzir kī khoj jaarī rakh
nazar baḌhā zarā hadd-e-nazar se aage bhī
ik aur jism hai merī nazar meñ tujh sā hī
ik aur rañg hai rañg-e-sahar se aage bhī
aziyyateñ haiñ moharram ke ba.ad bhī kitnī
safar mazīd haiñ māh-e-safar se aage bhī
parā.ī aañkh kī putlī sahārā kyā detī
vahāñ ik aur bhañvar thā bhañvar se aage bhī
khule haiñ raaz ka.ī mere qatl ke mujh par
paḌhī hai maiñ ne kahānī ḳhabar se aage bhī
Top Urdushayar.com