ḳhayāl-o-ḳhvāb se niklūñ zuhūr tak dekhūñ
safar ke dā.ere toḌūñ ubuur tak dekhūñ
mire liye haiñ ye haft-āsmāñ-o-haft-zamīñ
to kis liye tire jalve maiñ tuur tak dekhūñ
samajh sakā huuñ tujhe bas shu.ūr kī had tak
ye fikr hai ki tujhe lā-shu.ūr tak dekhūñ
rageñ chaTaḳh ga.iiñ rishtoñ kī shorisheñ kaisī
sadā lahū kī jo aa.e to duur tak dekhūñ
ulajh na jā.ūñ kahīñ reshmī ḳhayāloñ meñ
tirā 'jamāl' pas-e-rañg-o-nūr tak dekhūñ