Khalid Jamal

zauq-e-nazzara liye hum bhi KHabar tak aae

Khalid Jamal

zauq-e-nazzāra liye ham bhī ḳhabar tak aa.e
shab ke pahlū se uThe aur sahar tak aa.e
bū-e-gul bād-e-sabā raqs-e-sharar tak aa.e
rañg honā thā hameñ ḳhūn-e-jigar tak aa.e
abr-e-rahmat hai to shabnam kī tarah se utre
rañg-e-ḳhushbū kī havā arz-e-hunar tak aa.e
is se pahle hī baras jaatā hai ik abr-e-karam
paañv kī dhuul uThe aur mire sar tak aa.e
kyuuñ pareshān hai tū ai mire gum-karda-e-rāh
raah dushvār hai lekin mire ghar tak aa.e
pesh-ḳhema thā yahī fat.h-o-zafar kā shāyad
zer hote hue lashkar jo zabar tak aa.e
Top Urdushayar.com