Khalid Jamal

kisi but ke shikam se gar koi aazar nikal aae

Khalid Jamal

kisī but ke shikam se gar koī aazar nikal aa.e
ḳhirad kā band TuuTe aur ik patthar nikal aa.e
taqāze jab badan ke ruuh meñ Dhal kar nikal aa.e
qabā ke band TuuTe aur hasīñ bistar nikal aa.e
zamāna nā-shanāsī kā muravvat be-ḳhayālī kī
na jaane kis galī kis moḌ par ḳhanjar nikal aa.e
uge haiñ ḳhvāb-zāroñ meñ manāzir sar-tarāshī ke
suhānī vādiyoñ meñ bāvle lashkar nikal aa.e
thakan kā bojh le kar koī kitnī duur chaltā hai
magar jab raah meñ ik miil kā patthar nikal aa.e
chhupā kar jin charāġhoñ ko nihāñ-ḳhāne meñ rakkhā thā
fasīl-e-jāñ pe jalne ke liye kyuuñ kar nikal aa.e
Top Urdushayar.com