safar tamām huā gard-e-justujū bhī ga.ī
tirī talāsh meñ niklī to aarzū bhī ga.ī
ik intizār sā thā barf ke pighalne kā
phir us ke ba.ad to ummīd-e-ābjū bhī ga.ī
talab kī raah meñ aise bhī moḌ aa.e haiñ
ki harf-o-saut gayā shoḳhī-e-gulū bhī ga.ī
ye barg-o-bār kahāñ jāzib-nazar Thahre
tumhāre ba.ad to phūloñ se rañg-o-bū bhī ga.ī
kuchh aise ḳhaak uḌaa.ī hai dasht-e-hū meñ 'jamāl'
ki jazb-e-shauq bhī tafrīq-e-mā-o-tū bhī ga.ī