Haidar raza Koralvi

TuTa hai bas KHushi ka bharam aur kuchh nahin

Haidar raza Koralvi

Allahabd, Uttar pradesh, India

1992
TuuTā hai bas ḳhushī kā bharam aur kuchh nahīñ
paayā hai sirf dard-o-alam aur kuchh nahīñ
mujh par garāñ ye hijr kī ab kaalī raat hai
tanhā.iyoñ meñ ghuTtā hai dam aur kuchh nahīñ
bechainiyoñ ke saath Tahal kar tamām raat
paañv meñ rah ga.e haiñ varam aur kuchh nahīñ
muñh moḌnā vo dil kā jalānā mire habīb
Dhaa.e ga.e haiñ mujh pe sitam aur kuchh nahīñ
dhaḌkan udaas dil pe udāsī kī dhuup hai
lipTā hai mujh se terā ye ġham aur kuchh nahīñ
'haidar' kī dhaḌkanoñ kī sadā hai ye ham-nashīñ
dil pe hai terā naam raqam aur kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com