Haidar raza Koralvi

wahshaten phaili hain har su do-jahan KHamosh hai

Haidar raza Koralvi

Allahabd, Uttar pradesh, India

1992
vahshateñ phailī haiñ har sū do-jahāñ ḳhāmosh hai
hai zamīñ girya-kunāñ aur āsmāñ ḳhāmosh hai
beTiyoñ ke maan honā chāhiye apmān hai
dekh kar sab kuchh bhī ye hindostāñ ḳhāmosh hai
zulmatoñ kī aañch se jhulse ġharīboñ ke hī ghar
aag baḌhtī jā rahī hai aur dhuāñ ḳhāmosh hai
thā chaman gulzār pahle ab hai ujḌī vādiyāñ
ho gayā barbād gulshan bāġhbāñ ḳhāmosh hai
jānte to haiñ yahāñ sab hī siyāsat ke fareb
kyā ḳhabar kis maslahat se har zabāñ ḳhāmosh hai
Top Urdushayar.com