is daur-e-jahl meñ ye siyāsat fasād hai
har sū hai iḳhtilāf kahāñ ittihād hai
puujā ho yā namāz ho sab haiñ ibādateñ
ham sab haiñ bhaa.ī bhaa.ī na hargiz tazād ho
hargiz na tum jihād kaho mār-kāT ko
laḌ jaanā apne nafs se aslī jihād hai
shāne se shāna joḌ milā kar chalo qadam
'haidar' suno isī meñ hamārā mafād hai