nāḳhudā bhī nahīñ ḳhudā bhī nahīñ
koī merā tire sivā bhī nahīñ
mudda.ā ġhair mudda.ā bhī nahīñ
aur hasrat kā pūchhnā bhī nahīñ
kāhish-e-ġham harīf-e-jāñ hī sahī
ġham na ho to yahāñ mazā bhī nahīñ
shīsha-e-dil to chor hai lekin
aasrā hai ki TūTtā bhī nahīñ
husn kā aks hai hijāb-e-nazar
phir junūñ ko to sūjhtā bhī nahīñ
bazm se un kī uTh gayā ḳhud maiñ
koī pursān-e-hāl thā bhī nahīñ
ishq meñ paḌ ke luT gayā 'rāzī'
un ko ġham hai ki kuchh huā bhī nahīñ