kisī ke dast-e-ināyat kā vo diyā huuñ maiñ
jalā diyā hai kisī ne sulag rahā huuñ maiñ
dayār-e-lutf meñ aisā shikasta-pā huuñ maiñ
lipaT ke kāñToñ se ro.e vo aabla huuñ maiñ
mujhe mirī hī ri.āyat ne kar diyā mahrūm
pakaḌ pakaḌ ke jo dāman ko chhoḌtā huuñ maiñ
mujhī meñ kaun ḳhatā hai ki jo kisī meñ nahīñ
ik aadmī huuñ yahī bas na aur kyā huuñ maiñ
thake hue haiñ mire hausle kahāñ chal ke
zarā sā ruk ke yahāñ saañs le rahā huuñ maiñ
sanam-kadoñ kī na paḌ jaa.e har jagah buniyād
jigar ke TukḌe zamīñ par bikhertā huuñ maiñ
gayā to bhuul gayā koī dard-e-zaḳhm kā haal
vo kashmakash hai ki ġham se lipaT rahā huuñ maiñ