bhaTak rahā huuñ ki gir kar sambhal rahā huuñ maiñ
kisī tarah se to raste pe chal rahā huuñ maiñ
navāzishāt kī had se nikal rahā huuñ maiñ
haTā le haath ki karvaT badal rahā huuñ maiñ
junūñ meñ aql kī saudāgarī bhī kī maiñ ne
nigāh-e-nāz se duniyā badal rahā huuñ maiñ
havā-e-ġham se ghirā hai charāġh hastī kā
sambhālnā ki tire paas jal rahā huuñ maiñ
kisī bhī sāñche meñ qismat na Dhal sakī ab tak
hazār soz-e-tapish se pighal rahā huuñ maiñ
vo aa chale vo abhī aa.e dekh lo 'rāzī'
zarā sī der hai ruk jaao chal rahā huuñ maiñ