Khaleel Raazi

ab tak to sare gham se mere be-KHabar mile

Khaleel Raazi

ab tak to saare ġham se mire be-ḳhabar mile
batlā.ūñ hāl-e-dil jo koī chāragar mile
lamhe husūl-e-shauq ke bas is qadar mile
bhaTke hue ko raah meñ jaise ḳhizar mile
un ke baġhair kar na sake zindagī ba-ḳhair
rañj-o-alam ke saath to ham umr-bhar mile
dil thā kahīñ lagā kahīñ āñkheñ bichhī huiiñ
ye saare ehtimām tirī raah par mile
karnā hai taaza phir mujhe afsāna tuur kā
ai kaash merī un kī kahīñ par nazar mile
guzre haiñ aql-o-hosh-o-ḳhirad kī hudūd se
ham hoñ kahīñ to tum ko hamārī ḳhabar mile
'rāzī' jhuke the husn-e-chaman par ki ek din
shīrāze gul ke bikhre hue ḳhaak par mile
Top Urdushayar.com