tazkira un kā hī jo rañg badal jaate haiñ
baat sāyoñ kī nahīñ saa.e to Dhal jaate haiñ
aap zahmat na kareñ pursish-e-hāl-e-dil kī
muñh se nāguftanī jumle bhī nikal jaate haiñ
itnā ḳhush-fahm na ho ai dil-e-pazh-murda ki ab
vo shagūfe jo na khil paa.eñ kuchal jaate haiñ
kuchh diye ḳhuun rag-e-jāñ se hue haiñ raushan
kuchh diye tundī-e-sahbā se bhī jal jaate haiñ