Sardar Asif

ghazal kahne mein yun to koi dushwari nahin hoti

Sardar Asif

ġhazal kahne meñ yuuñ to koī dushvārī nahīñ hotī
magar ik mas.ala ye hai ki meyārī nahīñ hotī
agar chehra badalne kā hunar tum ko nahīñ aatā
to phir pahchān kī parchī yahāñ jaarī nahīñ hotī
samundar se to majbūrī hai us kī roz milnā hai
bahut chālāk hai lekin nadī khārī nahīñ hotī
batā.ūñ kyā mujhe mohtāt rahnā aa gayā kaise
na jaane mujh pe kyuuñ vahshat koī taarī nahīñ hotī
sipāhī se sipah-sālār banñā kitnā āsāñ hai
magar majbūr huuñ maiñ mujh se ġhaddārī nahīñ hotī
havā kī shart ham kyuuñ mānte kyuuñ is tarah dabte
hameñ gar saañs lene kī ye bīmārī nahīñ hotī
Top Urdushayar.com