ye jhuuT hai ki bichhaḌne kā us ko ġham bhī nahīñ
vo ro rahā hai magar us kī aañkh nam bhī nahīñ
ye baat sach hai ki vo zindagī nahīñ merī
magar vo mere liye zindagī se kam bhī nahīñ
tujhe pata hī nahīñ merī raah kaisī hai
tū chal sakegā mire saath do qadam bhī nahīñ
ye kyā ki lagtā hai ab sab ko ḳhālī ḳhālī sā
mire alāva koī chiiz ghar meñ kam bhī nahīñ
maiñ tujh se jhuk ke milā huuñ magar ye dhyān rahe
baḌā nahīñ huuñ magar tujh se qad meñ kam bhī nahīñ
shanāḳht us kī alag hai mirā vajūd alag
judā bhī mujh se nahīñ hai vo mujh meñ zam bhī nahīñ