Sardar Asif

hamari kawish-e-sher-o-suKHan be-kar jati hai

Sardar Asif

hamārī kāvish-e-sher-o-suḳhan be-kār jaatī hai
ġhazal kaisī bhī ho us ke badan se haar jaatī hai
ye kaise marhale meñ phañs gayā hai merā ghar mālik
agar chhat ko bachā bhī luuñ to phir dīvār jaatī hai
mire ḳhvāboñ kā us kī aañkh se rishta nahīñ TuuTā
mirī parchhā.īñ akasr jhiil ke is paar jaatī hai
chalo āzād ho kar kam se kam itnā to ham sīkhe
koī sarkār aatī hai koī sarkār jaatī hai
jalā kar Thiik se tāqoñ meñ in ko rakh diyā jaa.e
to phir aise charāġhoñ se havā bhī haar jaatī hai
Top Urdushayar.com