Sardar Asif

main jinko DhunDne nikla tha gahre ghaaron mein

Sardar Asif

maiñ jin ko DhūñDne niklā thā gahre ġhāroñ meñ
pata chalā ki vo rahte haiñ ab sitāroñ meñ
parakh rahā hai mujhe jo vo is ḳhayāl kā hai
hamesha jhuuT nahīñ hotā ishtihāroñ meñ
unheñ yaqīn thā duniyā kī umr lambī hai
jo log peḌ lagāte the rahguzāroñ meñ
maiñ ḳhud ko dekhūñ agar dūsre kī āñkhoñ se
mileñgī ḳhāmiyāñ apne hī shah-kāroñ meñ
tumhārī ḳhushbū ko mujh se kahīñ ye chhīn na le
havā jo rahtī hai dīvār kī darāroñ meñ
ḳhudā kā shukr ki maiñ us se thoḌī duur rahā
safed saañp thā geñde ke piile hāroñ meñ
nashīlī raat kā nashsha kuchh aur baḌh jaatā
tirā nazārā bhī hotā agar nazāroñ meñ
zabāñ pe aa.ī to apnī miThās kho baiThī
jo baat hotī thī pahle kabhī ishāroñ meñ
Top Urdushayar.com