Sardar Asif

ye KHalq sari hawa mere nam kar degi

Sardar Asif

ye ḳhalq saarī havā mere naam kar degī
mire charāġhoñ kā jiinā harām kar degī
sunā hai dhuup ko ghar lauTne kī jaldī hai
vo aaj vaqt se pahle hī shaam kar degī
kuchh aur der jo Thahrā maiñ us kī āñkhoñ meñ
to chāñd tāroñ ko merā ġhulām kar degī
maiñ apne daur se bad-zan huuñ ibtidā to karūñ
ki aglī nasl mirā baaqī kaam kar degī
phir is ke ba.ad vo mujh se lipaT ke ro.egī
safar kā Thiik se sab intizām kar degī
ḳharīdne se to behtar hai us ko maañg hī luuñ
vagarna ūñche bahut apne daam kar degī
batāo is meñ bhī us kā koī ḳhasāra hai
vo shahr-e-ḳhvāb abhī mere naam kar degī
Top Urdushayar.com