Abdullla Khan Mehr Lakhnavi

kya kijiye raqam sanad-e-ehtisham-e-zulf

Abdullla Khan Mehr Lakhnavi

kyā kījiye raqam sanad-e-ehtishām-e-zulf
hai daftar-e-jamāl pe tuġhrā-e-lām-e-zulf
ḳhidmat ho ġhāza-e-gul-e-ruḳh kī nasīm ko
mauj-e-havā chaman meñ kare intizām-e-zulf
fasl-e-bahār aa.ī junūñ-ḳhez dekhiye
saudā.iyoñ ko aane lage phir payām-e-zulf
muuzī jo sar chaḌhā to banā mār-e-āstīñ
sar pe na chāhiye thā butoñ ke maqām-e-zulf
saudā-e-zulf chīn-e-jabīñ ne miTā diyā
tārāj chīniyoñ ne kiyā aa ke shām-e-zulf
kab husn-e-ārzī pe laTaktī hai sub.h-o-shām
islām par hai ta.an se har-dam salām-e-zulf
chhuT ke uThā rahe haiñ asīrān-e-dām-e-zulf
ārām ab kahāñ dil-e-vahshī hai rām-e-zulf
bāloñ ko apne tum ruḳh-e-raushan pe chhoḌ do
pheñko miyān-e-chashma-e-ḳhurshīd dām-e-zulf
taqrīr kyuuñ na uljhī huī bar zabāñ rahe
hai dars meñ risāla-e-ilm-e-kalām-e-zulf
dīvāne ham haiñ gardish-e-lail-o-nahār ke
hai sub.h sub.h rū-e-parī-shām shām-e-zulf
paayā siyāh-baḳhtī-e-ushshāq ne bhī auj
fīroza-e-falak pe kiyā kunda nām-e-zulf
zulfeñ havā se kab ruḳh-e-āriz pe aa ga.iiñ
hai sabza-e-bahār ke muñh meñ lagām-e-zulf
aa.e siyāh-dil haiñ raqīboñ ke us pe 'mehr'
poshish meñ hai abas haram-e-ehtirām-e-zulf
Top Urdushayar.com