pāband har jafā pe tumhārī vafā ke haiñ
rahm ai buto ki ham bhī to bande ḳhudā ke haiñ
gulchīñ bahār-e-gul meñ na kar man.a sair-e-bāġh
kyā ham ġhubār dāman-e-bād-e-sabā ke haiñ
ye sāda-rū jo saaf nahīñ rahte shām-e-vasl
āshiq ġhubār dāman-e-sub.h-e-ḳhafā ke haiñ
jis ko yaqīñ baqā kā ho vaa.iz tirī sune
ham log mast bāda-e-jām-e-fanā ke haiñ
ai 'mehr' tab-e-barq ne betāb dil kiyā
mazmūñ chamak-damak ke qavāfī balā ke haiñ