mizhgāñ ne rokā āñkhoñ meñ dam intizār se
uljhe haiñ ḳhaar dāman-e-bād-e-bahār se
matlab ḳhizāñ se hai na ġharaz hai bahār se
ham dil uThā chuke chaman-e-rozgār se
ye gul khilā na lāla-ruḳhoñ ke firāq meñ
ham daaġh le chale chaman-e-rozgār se
bismil jo haiñ to ham haiñ taḌapte jo haiñ to ham
vo ḳhush haiñ said-gāh meñ sair-e-shikār se
āġhāz-e-ishq hai vo baḌhāte haiñ rasm-o-rāh
ham dil meñ ḳhauf karte haiñ anjām-e-kār se
un ko huā jo nashsha-e-mai merī ban paḌī
parda khulā na dāman-e-mauj-e-ḳhumār se
kalkatta se bhī kījiye hāsil koī to ilm
sīkheñge sehr-e-sāmrī ham chashm-e-yār se
ai 'mehr' ye ġhazal vo pur-ejāz-o-garm hai
'ātish' agar sune nikal aa.e mazār se