ab chhalakte hue sāġhar nahīñ dekhe jaate
tauba ke ba.ad ye manzar nahīñ dekhe jaate
mast kar ke mujhe auroñ ko lagā muñh saaqī
ye karam hosh meñ rah kar nahīñ dekhe jaate
saath har ek ko is raah meñ chalnā hogā
ishq meñ rahzan o rahbar nahīñ dekhe jaate
ham ne dekhā hai zamāne kā badalnā lekin
un ke badle hue tevar nahīñ dekhe jaate