Ali Ahmad Jalili

fareb-e-nikhat-o-gulzar se bachao mujhe

Ali Ahmad Jalili

Hyderabad, Telangana, India

1921-2005
fareb-e-nik.hat-o-gulzār se bachāo mujhe
karam karo kisī sahrā meñ chhoḌ aao mujhe
vo jins huuñ maiñ jise bik ke muddateñ guzrīñ
jo ho sake to kahīñ se ḳharīd laao mujhe
machal rahī hai nazar chhū ke dekhiye us ko
simaT rahā hai badan haath mat lagāo mujhe
kisī tarah in añdheroñ kī umr to kam ho
jalāne vaalo zarā der tak jalāo mujhe
kisī pe apne sivā ab nazar nahīñ paḌtī
mirī nigāh se ai dosto bachāo mujhe
ye kis kī laash liye jaate ho uThā.e hue
kahīñ vo maiñ to nahīñ huuñ zarā dikhāo mujhe
bikhar chukā huuñ 'alī' maiñ ġhazal ke sheroñ meñ
bisāt-e-āriz-o-lab se sameT laao mujhe
Top Urdushayar.com