Ali Ahmad Jalili

lai hai kis maqam pe ye zindagi mujhe

Ali Ahmad Jalili

Hyderabad, Telangana, India

1921-2005
laa.ī hai kis maqām pe ye zindagī mujhe
mahsūs ho rahī hai ḳhud apnī kamī mujhe
dekho tum aaj mujh ko bujhāte to ho magar
kal DhūñDhtī phiregī bahut raushnī mujhe
tai kar rahā huuñ maiñ bhī ye rāheñ salīb kī
āvāz ai hayāt na denā abhī mujhe
sūkhe shajar ko pheñk duuñ kaise nikāl kar
detā rahā hai saaya shajar jo kabhī mujhe
kyuuñ kar rahī hai mujh se savālāt zindagī
kah do javāb kī nahīñ fursat abhī mujhe
kyā chāhtā thā vaqt pe likhnā na pūchhiye
hurmat qalam kī apnī bachānī paḌī mujhe
dil-dāriyāñ bhī rah ga.iiñ parde meñ ai 'alī'
lahja badal badal ke sadā dī ga.ī mujhe
Top Urdushayar.com