Ali Ahmad Jalili

aaj jalti hui har shama bujha di jae

Ali Ahmad Jalili

Hyderabad, Telangana, India

1921-2005
aaj jaltī huī har sham.a bujhā dī jaa.e
ġham kī tauqīr zarā aur baḌhā dī jaa.e
kyā isī vāste sīñchā thā lahū se apne
jab sañvar jaa.e chaman aag lagā dī jaa.e
aql kā hukm ki sāhil se lagā do kashtī
dil kā isrār ki tūfāñ se laḌā dī jaa.e
duur tak dil meñ dikhā.ī nahīñ detā koī
aise vīrāne meñ ab kis ko sadā dī jaa.e
tabsira ba.ad meñ bhī qatl pe ho saktā hai
pahle ye laash to raste se haTā dī jaa.e
maslahat ab to isī meñ nazar aatī hai 'alī'
ki hañsī aa.e to ashkoñ meñ bahā dī jaa.e
Top Urdushayar.com