roke se kahīñ hādsa-e-vaqt rukā hai
sho.aloñ se bachā shahr to shabnam se jalā hai
kamra kisī mānūs sī ḳhushbū se basā hai
jaise koī uTh kar abhī bistar se gayā hai
ye baat alag hai ki maiñ jiitā huuñ abhī tak
hone ko to sau baar mirā qatl huā hai
phūloñ ne churā lī haiñ mujhe dekh ke āñkheñ
kāñToñ ne baḌī duur se pahchān liyā hai
us samt abhī ḳhuun ke pyāse haiñ hazāroñ
is samt bas ik qatra-e-ḳhūñ aur bachā hai
rūdād-e-charāġhāñ to bahut ḳhuub hai lekin
kyā jāniye kis kis kā lahū in meñ jalā hai
is rañg-e-taġhazzul pe 'alī' chhāp hai merī
ye zauq-e-suḳhan mujh ko virāsat meñ milā hai