Ali Ahmad Jalili

hamari aankh ne dekhe hain aise manzar bhi

Ali Ahmad Jalili

Hyderabad, Telangana, India

1921-2005
hamārī aañkh ne dekhe haiñ aise manzar bhī
guloñ kī shāḳh se laTke hue the ḳhanjar bhī
yahāñ vahāñ ke añdheroñ kā kyā kareñ mātam
ki is se baḌh ke añdhere haiñ dil ke andar bhī
abhī se haath mahakne lage haiñ kyuuñ mere
abhī to dekhā nahīñ hai badan ko chhū kar bhī
kise talāsh kareñ ab nagar nagar logo
javāb dete nahīñ haiñ bhare hue ghar bhī
hamārī tishna-labī par na koī buuñd girī
ghaTā.eñ jā chukīñ chāroñ taraf baras kar bhī
ye ḳhuun rañg-e-chaman meñ badal bhī saktā hai
zarā Thahar ki badal jā.eñge ye manzar bhī
'alī' abhī to bahut sī haiñ an-kahī bāteñ
ki nā-tamām ġhazal hai tamām ho kar bhī
Top Urdushayar.com