Ali Ahmad Jalili

kaTi hai gham ki raat baDe ehtiram se

Ali Ahmad Jalili

Hyderabad, Telangana, India

1921-2005
kaaTī hai ġham kī raat baḌe ehtirām se
aksar bujhā diyā hai charāġhoñ ko shaam se
raushan hai apnī bazm aur is ehtimām se
kuchh dil bhī jal rahā hai charāġhoñ ke naam se
muddat huī hai ḳhūn-e-tamannā kiye magar
ab tak Tapak rahā hai lahū dil ke jaam se
sub.h-e-bahār ham ko bulātī rahī magar
ham khelte rahe kisī zulfoñ kī shaam se
har saañs par hai maut kā pahrā lagā huā
āhista ai hayāt guzar is maqām se
kaaTī tamām umr fareb-e-bahār meñ
kāñTe sameTte rahe phūloñ ke naam se
ye aur baat hai ki 'alī' ham na sun sake
āvāz us ne dī hai hameñ har maqām se
Top Urdushayar.com