ek khiḌkī galī kī khulī raat bhar
muntazir jaane kis kī rahī raat bhar
ham jalāte rahe apne dil ke diye
tīrgī qatl hotī rahī raat bhar
merī āñkhoñ ko kar ke atā ratjage
merī tanhā.ī sotī rahī raat bhar
ek ḳhushbū darāzoñ se chhantī huī
dastakeñ jaise detī rahī raat bhar
dil ke andar koī jaise chaltā rahā
chaap qadmoñ kī aatī rahī raat bhar
ek tahrīr jo us ke hāthoñ kī thī
baat vo mujh se kartī rahī raat bhar
ek sūrat 'alī' thī jo jān-e-ġhazal
mere sheroñ meñ Dhaltī rahī raat bhar