tum jo aaoge to mausam dūsrā ho jā.egā
lū kā jhoñkā bhī chalegā to sabā ho jā.egā
zindagī meñ qatl kar ke tujh ko niklā thā magar
kyā ḳhabar thī phir tirā hī sāmnā ho jā.egā
nafratoñ ne har taraf se gher rakkhā hai hameñ
jab ye dīvāreñ gireñgī rāsta ho jā.egā
āñdhiyoñ kā kaam chalnā hai ġharaz is se nahīñ
peḌ par pattā rahegā yā judā ho jā.egā
kyā ḳhabar thī ai amīr-e-shahr tere daur meñ
saañs lenā jurm jiinā hādsa ho jā.egā
aap paidā to kareñ dast-e-hunar phir dekhiye
aap ke hāthoñ meñ patthar ā.īna ho jā.egā
mere hoñToñ pe hañsī aa kar rahegī ai 'alī'
ek din ye vāqi.a bhī dekhnā ho jā.egā