mustahiq vo lazzat-e-ġham kā nahīñ
jis ne ḳhud apnā lahū chakkhā nahīñ
us shajar ke saa.e meñ baiThā huuñ maiñ
jis kī shāḳhoñ par koī pattā nahīñ
kaun detā hai dar-e-dil par sadā
kah do maiñ bhī ab yahāñ rahtā nahīñ
ban rahe haiñ sat.h-e-dil par dā.ere
tum ne to patthar koī pheñkā nahīñ
uñgliyāñ kāñToñ se zaḳhmī ho ga.iiñ
haath phūloñ tak abhī pahuñchā nahīñ
ek ḳhushbū saath jo pal bhar rahī
umr bhar pīchhā mirā chhoḌā nahīñ
vo maqām-e-fikr hai mirā 'alī'
jis bulandī tak koī pahuñchā nahīñ