Ali Ahmad Jalili

KHushi ne mujhko Thukraya hai dard-o-gham ne pala hai

Ali Ahmad Jalili

Hyderabad, Telangana, India

1921-2005
ḳhushī ne mujh ko Thukrāyā hai dard-o-ġham ne paalā hai
guloñ ne be-ruḳhī kī hai to kāñToñ ne sambhālā hai
mohabbat meñ ḳhayāl-e-sāhil-o-manzil hai nādānī
jo in rāhoñ meñ luT jaa.e vahī taqdīr vaalā hai
jahāñ bhar ko matā-e-lāla-o-gul baḳhshne vaalo
hamāre dil kā kāñTā bhī kabhī tum ne nikālā hai
kināroñ se mujhe ai nā-ḳhudāo duur hī rakhnā
vahāñ le kar chalo tūfāñ jahāñ se uThne vaalā hai
charāġhāñ kar ke dil bahlā rahe ho kyā jahāñ vaalo
añdherā laakh raushan ho ujālā phir ujālā hai
nasheman hī ke luT jaane kā ġham hotā to ġham kyā thā
yahāñ to bechne vāloñ ne gulshan bech Daalā hai
Top Urdushayar.com