ham āgahī-e-ishq kā afsāna kaheñge
kuchh aql ke maare hameñ dīvāna kaheñge
rahtā hai vahāñ zikr-e-tuhūr-o-mai-e-kausar
ham aaj se kaabe ko bhī mai-ḳhāna kaheñge
unvān badal deñge faqat aap kī ḳhātir
ham jab bhī kaheñge yahī afsāna kaheñge
parvāne ko ham sham.a samajhte haiñ sar-e-shām
hañgām-e-sahar sham.a ko parvāna kaheñge
sar rakh ke tire paañv pe ham karte haiñ shikva
kuchh log ise sajda-e-shukrāna kaheñge
ban jā.egā allāh kā ghar ḳhud hī kisī din
filhāl 'fanā' dil ko sanam-ḳhāna kaheñge