Fana Nizami Kanpuri

gham har ek aankh ko chhalkae zaruri to nahin

Fana Nizami Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1922-1988
ġham har ik aañkh ko chhalkā.e zarūrī to nahīñ
abr uThe aur baras jaa.e zarūrī to nahīñ
barq sayyād ke ghar par bhī to gir saktī hai
āshiyānoñ pe hī lahrā.e zarūrī to nahīñ
rāhbar raah musāfir ko dikhā detā hai
vahī manzil pe pahuñch jaa.e zarūrī to nahīñ
nok-e-har-ḳhār ḳhatarnāk to hotī hai magar
sab ke dāman se ulajh jaa.e zarūrī to nahīñ
ġhunche murjhāte haiñ aur shāḳh se gir jaate haiñ
har kalī phuul hī ban jaa.e zarūrī to nahīñ
Top Urdushayar.com