Fana Nizami Kanpuri

wo KHanuman-KHarab na kyun dar-ba-dar phire

Fana Nizami Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1922-1988
vo ḳhānumāñ-ḳharāb na kyuuñ dar-ba-dar phire
jis se tirī nigāh mile yā nazar phire
rāh-e-junūñ meñ yuuñ to haiñ lākhoñ hī sar-phire
yā-rab mirī tarah na koī umr bhar phire
raftār-e-yār kā agar andāz bhuul jaa.e
gulshan meñ ḳhaak uḌātī nasīm-e-sahar phire
saaqī ko bhī sikhāte haiñ ādāb-e-mai-kashī
milte haiñ mai-kade meñ kuchh aise bhī sar-phire
tark-e-vatan ke ba.ad hī qadr-e-vatan huī
barsoñ mirī nigāh meñ dīvār-o-dar phire
rah jaa.e chand roz jo bīmār-e-ġham ke paas
ḳhud apnā dil dabā.e hue chāra-gar phire
maiñ apnā raqs-e-jām tujhe bhī dikhā.ūñgā
ai gardish-e-zamāna mire din agar phire
merī nigāh meñ to ġhazal hai usī kā naam
jis kī ragoñ meñ dauḌtā ḳhūn-e-jigar phire
qaid-e-ġham-e-hayāt bhī kyā chiiz hai 'fanā'
rāh-e-farār mil na sakī umr-bhar phire
Top Urdushayar.com