jab mere rāste meñ koī mai-kada paḌā
ik baar apne ġham kī taraf dekhnā paḌā
tark-e-ta.alluqāt ko ik lamha chāhiye
lekin tamām umr mujhe sochnā paḌā
ik tishna-lab ne chhīn liyā baḌh ke jām-e-mai
saaqī samajh rahā thā sabhī ko girā-paḌā
aa.e the pūchhte hue maiḳhāne kā pata
saaqī se lekin apnā pata pūchhnā paḌā
yuuñ jagmagā rahā hai mirā naqsh-e-pā 'fanā'
jaise ho rāste meñ koī aa.ina paḌā