koī samjhegā kyā rāz-e-gulshan
jab tak uljhe na kāñToñ se dāman
yak-ba-yak sāmne aa na jaanā
ruk na jaa.e kahīñ dil kī dhaḌkan
gul to gul ḳhaar tak chun liye haiñ
phir bhī ḳhālī hai gulchīñ kā dāman
kitnī ārā.ish-e-āshiyāna
TuuT jaa.e na shāḳh-e-nasheman
azmat-e-āshiyāna baḌhā dī
barq ko dost samjhūñ ki dushman
un guloñ se to kāñTe hī achchhe
jin se hotī ho tauhīn-e-gulshan