ik tishna-lab ne baḌh ke jo sāġhar uThā liyā
har bul-havas ne mai-kada sar par uThā liyā
maujoñ ke ittihād kā aalam na pūchhiye
qatra uThā aur uTh ke samundar uThā liyā
tartīb de rahā thā maiñ fahrist-e-dushmanān
yāroñ ne itnī baat pe ḳhanjar uThā liyā
maiñ aisā bad-nasīb ki jis ne azal ke roz
pheñkā huā kisī kā muqaddar uThā liyā