Fana Nizami Kanpuri

mere chehre se gham aashkara nahin

Fana Nizami Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1922-1988
mere chehre se ġham āshkārā nahīñ
ye na samjho ki meñ ġham kā maarā nahīñ
chashm-e-sāqī pe bhī haq hamārā nahīñ
ab ba-juz tark-e-mai koī chārā nahīñ
bahr-e-ġham meñ kisī kā sahārā nahīñ
ye koī āsmāñ kā sitārā nahīñ
Dūbne ko to Duube magar naaz hai
ahl-e-sāhil ko ham ne pukārā nahīñ
ġhuncha-o-gul ko chauñkā ga.ī hai ḳhizāñ
fasl-e-gul ne chaman ko sañvārā nahīñ
ġhair ke saath kis tarah dekhūñ tujhe
apnī qurbat bhī mujh ko gavārā nahīñ
yuuñ dikhātā hai āñkheñ hameñ bāġhbāñ
jaise gulshan pe kuchh haq hamārā nahīñ
zikr-e-sāqī hī kaafī nahīñ ai 'fanā'
be-piye mai-kade meñ guzārā nahīñ
Top Urdushayar.com