Fana Nizami Kanpuri

chehra-e-subh nazar aaya ruKH-e-sham ke baad

Fana Nizami Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1922-1988
chehra-e-sub.h nazar aayā ruḳh-e-shām ke baad
sab ko pahchān liyā gardish-e-ayyām ke baad
mil ga.ī rāh-e-yaqīñ manzil-e-auhām ke baad
jalve hī jalve nazar aa.e dar-o-bām ke baad
chāhiye ahl-e-mohabbat ko ki dīvāna baneñ
koī ilzām na aa.egā is ilzām ke baad
imtehān-e-talb-e-ḳhām liyā saaqī ne
jām-e-lab-rez diyā durd-e-tah-e-jām ke baad
haa.e kyā chiiz hai ye lutf-e-shikastā-pā.ī
hausle aur baḌhe koshish-e-nākām ke baad
zindagī naam hai ik johd-e-musalsal kā 'fanā'
rāh-rau aur bhī thak jaatā hai ārām ke baad
Top Urdushayar.com