yā rab mirī hayāt se ġham kā asar na jaa.e
jab tak kisī kī zulf-e-pareshāñ sañvar na jaa.e
vo aañkh kyā jo aariz o ruḳh par Thahar na jaa.e
vo jalva kyā jo diida o dil meñ utar na jaa.e
mere junūñ ko zulf ke saa.e se duur rakh
raste meñ chhāñv pā ke musāfir Thahar na jaa.e
maiñ aaj gulsitāñ meñ bulā luuñ bahār ko
lekin ye chāhtā huuñ ḳhizāñ ruuTh kar na jaa.e
paidā hue haiñ ab to masīhā na.e na.e
bīmār apnī maut se pahle hī mar na jaa.e
kar lī hai tauba is liye vaa.iz ke sāmne
ilzām-e-tishnagī mire saaqī ke sar na jaa.e
saaqī pilā sharāb magar ye rahe ḳhayāl
ālām-e-rozgār kā chehrā utar na jaa.e
maiñ us ke sāmne se guzartā huuñ is liye
tark-e-ta.alluqāt kā ehsās mar na jaa.e
masrūr-e-dīd-e-husn hai is vāste 'fanā'
duniyā ke aib par kabhī merī nazar na jaa.e