ai husn zamāne ke tevar bhī to samjhā kar
ab zulm se baaz aa jā ab jaur se tauba kar
TuuTe hue paimāne bekār sahī lekin
mai-ḳhāne se ai saaqī bāhar to na pheñkā kar
jalva ho to jalva ho parda ho to parda ho
tauhīn-e-tajallī hai chilman se na jhāñkā kar
arbāb-e-junūñ meñ haiñ kuchh ahl-e-ḳhirad shāmil
har ek musāfir se manzil ko na pūchhā kar