Fana Nizami Kanpuri

mujhe pyar se tera dekhna mujhe chhup chhupa ke wo dekhna

Fana Nizami Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1922-1988
mujhe pyaar se tirā dekhnā mujhe chhup chhupā ke vo dekhnā
mirā soyā jazba ubhārnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
rah-o-rasm qalb o nigāh ke vo tumhāre daave nibāh ke
vo hamārā sheḳhī baghārnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo hamārī chheḌ vo shoḳhiyāñ vo hamārā kāTnā chuTkiyāñ
vo tumhārā kuhnī kā mārnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī sard aahoñ ke silsile kabhī ThanDī sāñsoñ ke mashġhale
vo hamārī naqleñ utārnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo tumhārā shā.er-e-ḳhush-navā jise log kahne lage 'fanā'
vo 'nisār' kah ke pukārnā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
Top Urdushayar.com